Assalam walekum mohtaram nazreen, kaise hain aap sab

Assalam walekum mohtaram nazreen, kaise hain aap sab? Nazreen aaj hum duniya ke doosray sab se khoobsurat darul hukoomat aur Pakistan ke azeem shehar Islamabad ki sair karne ja rahe hain. Yeh shehar Margalla ki pahariyon aur ghane jangalat ko saaf karke banaya gaya tha. Aaj ki is history and documentary me hum janenge ke Islamabad ko kis ne banwaya, aur dekhenge is shehar ki mashhoor jagahon jaise Faisal Masjid, Bari Imam Sarkar ka mazar, Centaurus aur Giga Mall, aur Margalla hills ke dilkash manazir. Yeh safar bohot dilchasp hone wala hai, is liye video ko aakhir tak zaroor dekhein. Islamabad, jiska purana naam Raj Shahi tha, Pakistan hi nahi balkay duniya ka ek mashhoor aur maroof shehar hai. Iski shohrat ki sab se bari wajah iski qudrati khoobsurti aur yahan mojood safarat khanay hain. Duniya ke taqreeban 87 mumalik ke embassies yahan waqia hain. Is shehar ki abadi taqreeban 23 lakh afrad par mushtamil hai aur yeh lagbhag 220 square kilometer ke wasee rakhbe par phaila hua hai. Tareekh ke safhon me dekha jaye to Zahiruddin Babar, Changez Khan, Taimur aur Ahmad Shah Durrani jaise fatah karne wale hukmaranon ne apni muhimat ke dauran is ilaqay se guzar kiya. Pakistan ka pehla darul hukoomat Karachi tha, lekin barhti hui abadi aur intizami masail ki wajah se Sadar Ayub Khan ne Islamabad ko naya darul hukoomat banane ka faisla kiya. Shehar ki tameer mukammal hone ke baad 1968 me hukoomati idaray yahan muntakil kar diye gaye.

More English Voice Samples

← Return to Studio