Classic
Use these settings →2026-03-04
Do chhote bachon ne apne ghar mein ek pyara sa Labrador pala. Wo usay bohat pyaar karte thay, roz uske saath garden mein khelte aur usay hug karte. Ek din bachon ne ball pheki, Labrador tez bhaag kar gaya aur ball munh mein pakar kar wapas le aya. Sab zor zor se hansne lage. Phir bachon ne usay biscuit aur doodh diya. Labrador dum hila kar khushi se khana khane laga. Weekend par bachon ne usay nahaya, sabun lagaya aur saaf towel se sukhaaya. Ab wo bilkul saaf aur chamakdar lag raha tha. Bachon ne mil kar uske liye chhota sa lakri ka ghar banaya. Labrador apne naye ghar ke andar ja kar aaram se baith gaya. Kuch arsay baad Labrador ke chhote chhote puppies hue. Bachay unke saath bhi pyaar se khelte aur sab mil kar garden mein khushi se waqt guzarte.
ID: 0ec67ef6-7e64-4506-9f06-c8f495d71e63
Created: 2026-03-04T07:27:56.355Z